Aewwe.in

All about News and World Trends

shaadi biodata, shaadi ke liye biodata , shaadi biodata , shaadi profile , shaadi.com, aewwe.in
Knowledge

Shaadi ke liye Biodata Kaise Banaye aur Online Shaadi Biodata Tools Kaise Use Kare

Ek accha ghar aur ek acchi gaadi lena jitna mushkil hai us se kai jyada mushkil hai ek accha partner dhudna jo apko life me sath de sake or wo apke background ke according ko accept krne wala ho . Agar ap ek poor ya low income background se hai to apke man me hmesha ye sawaal rehta hai ki kaise ap apni shaadi ke liye effort kr skte hai kyoki agar ap kisi bureau ya kisi website par apni details fill krte hai to uske liye apko kafi intajar krna pdta hai . Sath hi apki details bahut matter krti hai ki ap apni details kaise share krte hai .

[lwptoc]

Shaadi ke liye sirf Whatsapp ya Facebook par message krne se kuch nhi hota uske liye apko kuch extra effort dene pdte hai jaise apko apna ek Biodata or profile tyaari krni hoti hai jis se ap wo kisi bhi ldki ko ya kisi bureau ko ya online alag aag jagah par post kar sake aur rishte ke liye updates le sake .

Online Shaadi biodata or profile kaise banaya jata hai, iska kya istamal hai aur ap is se kaise jaldi shaadi krne ke liye istamal kr skte hai sab apko is article me btaya gaya hai .

Shaadi biodata kya hota hai ?

Jaise ap kisi job ke liye ek CV ya ke Resume banate hai same usi tarike se apko shaadi ke liye apna ek biodata or profile banana jruri hota hai . Is biodata me chahte ap male ho ya female apko apne baare me btana hota hai jis se samne wala partner jo apka data pdta hai apse bina baat kiye apke baare me jyada jaan pata hai aur apse contact krne ki koshish krta hai . Agar ap biodata me apna contact number ya email bhi dal dete hai to interested partner apko contact krne ki uske through koshish krte hai .

Shaadi biodata ek medium hai jiske through ap ek baar me jyada se jyada logo tak apni jankari pahucha skte hai aur apne baare me bta skte hai . Agar ap shaadi krna chahte hai to apna biodata me in details ko jrur mention kare :

  1. Name
  2. Age
  3. Work / Occupation
  4. Financial Status
  5. Family Background
  6. Wealth
  7. Likings / Hobbies
  8. Daily Routine
  9. Study / Education
  10. Future Goals
  11. Partner Expectations

Aise ap apne biodata me jyada se jyada information dal skte hai jis se apke baare me kisi bhi ldki ya ldke ko information mil sake . Ap shaadi ke liye biodata online ya offline paper par bana skte hai ya ap online shaadi biodata tools use kr skte hai .

Also read : Online Second Shaadi K liye Partner kaise Dhunde aur Registration Kyo Jruri hai Jan Len

Shaadi biodata kaise banaya jata hai ?

Shaadi ka biodata banane ke liye ye jruri hai ki ap padhe likhe hai ya nahi . Agar ap padhe likhe hai to apna Shaadi profile ya biodata online kisi bhi tool se ya ghar baithe hi apne paper par bana skte hai . Biodata create krne me sbse jruri baat hai ki ap wo sab qualities or abilities ko puri sachai se likhen jo apke ander hai kyoki agar ap fake details fill krte hai to kuch samay ke liye to samne wala person apse attract ho jata hai lekin agar use sacchai ke baare me pata chalta hai to wo apse baat nahi krte to apko disappointment hoti hai.

Agar ap apna biodata banana chahte hai , to ap in tariko se bana skte hai :

  1. Computer Specialist
  2. Online Biodata or CV Tools
  3. Online Freelancer help
  4. Online Biodata generator websites
  5. Online Shaadi bureau
  6. Online Matrimony Websites
  7. CV Creator Mobile Application

Inki madad se ap apne liye ek attractive or true Shaadi ka biodata bana skte hai .

Also read : PM Kusum Yojana me Na ke Brabar Price me Milega Solar Pump

Shaadi biodata ko online kaise bana skte hai ?

Shaadi ke liye biodata create krna bahut hi asan hai agar ap apne mobile par apna ek portfolio ya profile banana chahte hai to ap playstore se Shaadi Biodata app ko download kr skte hai  . Online Shaadi ka biodata kaise banaya jata hai iske liye apko is process ko follow krna hoga.

  1. Application ko download krne ke bad isme apne mobile number se Register kare .
  2. Uske bad ek Template ko select kare . Is application me apko 50+ templates mil jaenge
  3. Template me apni sabhi details fill kare
  4. Generate par click kare jis se apki profile generate ho jaegi.
  5. Preview par click karne par ap apni profile biodata dekh skte hai
  6. Download par click karne par ap profile ko apne mobile me download kr skte hai.

Ap is biodata ko PDF ya kisi bhi format me download krke kisi bhi jagah share kr skte hai jaise Online facebook par , matrimonial websites par etc.

Online Shaadi Biodata banane ke liye tools kya hai ?

Online Shaadi ke liye biodata banane ke bahut saare tools available hai . Agar ap ek customised biodata banana chahte hai aur usme kuch creativity krna chahte hai to ap document editors or offline designer tools ka bhi istamal kr skte hai . Agar ap khud se biodata banana chahte hai to ap in tools ko use kr skte hai :

  1. Canva
  2. CV Maker
  3. Mobile Shaadi Biodata Maker
  4. Corel Draw
  5. Photoshop
  6. Wordpad or MS Word

Ap in computer tools or mobile applications ki madad se apne liye ek accha biodata generate kr skte hai jis se ap jaldi shaadi ke liye kahi bhi apply kr skte.

Also read : SSL Certificate for Website Error ”Not Secure” with HTTPS both WordPress and Blogger

Online biodata kaha submit krna chahiye ?

Shaadi krne ke liye online bahut si paid or free websites hai jisme ap apna biodata submit krke apne liye ek acchi ldki ya accha ldka dekh skte hai . Agar ap ek acchi ldki shaadi ke liye dekh rahe hai to apke liye jruri hai ki ap apne biodata me apni location or occupation jrur mention kare jis se apki financial condition or apke behaviour ke baare me ldki or uski family ko pata chal sake .

Bio data ko apko 3 format me jrur generate krna chahiye jisme ap PDF ,Word file or Image format me apne pas apko Biodata rakhna chahiye . Word format me Biodata hone se ap chahe to usme issues ko acche se time to time resolve or update kar sakenge aur partner ki profile par liking ke according apni profile me apni likings add kr sakenge .

Jaise hi ap apna biodata create kr lete hai to shaadi ke liye ap use in places par jrur submit kare :

  1. Online Matrimonial Profile or Biodata section
  2. Facebook Matrimonial groups
  3. Olx Ads
  4. Instagram Profile
  5. Whatsapp groups

Is se apko replies aane ke chances bad jate hai to apko jyada time tak rishte ke liye wait nahi krna pdta . Agar ap daily apne Biodata ko 5 groups me post karte hai to apko kam se kam 10 response daily milte hai jis se ap mahine me 300 response me se apne liye partner aram se choose kr skte hai .

Agar ap apna Online Shaadi biodata banwana chahte ya apni profile par ek website banwana chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .

LEAVE A RESPONSE

Your email address will not be published. Required fields are marked *