Aewwe.in

All about News and World Trends

pm kusum yojana , solar pump scheme , solar pump scheme government , government scheme india , pm kusum yojana
Knowledge Sarkari Yojana

PM Kusum Yojana me Na ke Brabar Price me Milega Solar Pump

Kissan ki arthik stithi ko sudharna aur villages me electricity problem ke liye solution lana sarkar ke liye bahut bada challenge hai . Kai saalo se kissan apne agriculture lands par diesel ya petrol se chalne wale pumps ka istamal krte hai jo nahi sirf jyada bijli lete hai balki unse hone wale pollution se earth ko nuksaan bhi hota hai . Is sabse se chutkaara paane ke liye sarkar ne ek scheme launch ki hai jiska nam PM Kusum Yojana rakha gaya hai . Is yojana me sarkar ne apne 3 objectives rakhe .

[lwptoc]

Sarkar ka PM Kusum Yojana se phla objective hai Villages me electricity ka sthar badhana jisme har roz 10000 mega watt electricity produce krna sirf solar plants se , dusra objective hai 20 lakh se jyada villages me agriculture solar pumps establish krna jis se kissano ki madad ho sake aur usse bnayi gayi bijli ka istamal village ke gharo me bhi kia ja sake . Sarkar ka PM Kusum yojana se 3rd objective hai phle se established water pumps ko solar based banana. Is scheme me Solar Water pumps se farmers ki income badhane par bhi jor diya gaya hai .

PM Kusum Yojana asal me hai kya aur iske kya fayde hai , ap is yojana ko kaise apply kr skte hai aur is Yojana ko apple krne ke liye apko kya kya chahiye sab apko is article me btaya gaya hai .

PM Kusum Yojana kya hai ?

PM Kusum Yojana ka ahem maksad hai Kissano ko Solar water pumps install krne ke liye prerna dena aur unko solar pumps install krne ke liye subsidy provide krna . Farmers ko is scheme me ye bhi benefit milta hai ki agar wo apne funds se ya loan se solar pumps install nahi kr wa skte to applicants is scheme me Solar pump ke liye loan bhi le skte hai . Is scheme se kissano ko sbse jayda benefit hota hai electricity me jisme ki wo solar energy store krke apne water pumps ko run kr skte hai .

Solar pumps lag jaane ke bad farmers us se store hui electricity ko wo sichai ke liye bhi use kr skte hai jiske liye unko bijli aane ka wait nahi krna hoga . Is yojana me secondary benefit farmers ko ye bhi mil raha hai ki wo apne saathi farmers ko pumps promote krke ya unhe solar pumps sale krke bhi paise kama skte hai jisme ki wo solar pumps ko sarkar ki is scheme me lekar dusre kissano ko iske fayde btakar dilwakar paise bhi kama skte hai . PM Kusum Yojana me kissano ko solar pump lgane ke liye subsidy aur loan ka bhi diya jata hai .

PM Kusum Yojana me kya fayda milega ?

UP me is scheme ko sbse phle implement kiya gaya hai jisme Solar pump par subsidy aur loan offer kia gyaa hai. Solar pump par subsidy ki value depend karegi solar pump ki installation aur cost ko total krke aur pump ki valuation horse power ke hisab se bhi ki jaegi . UP me kissano ko 2 se lekar 10 horse power wale pumps par subsidy offer ki gayi hai .

Is scheme me alag alag horse power par subsidy offer ki gai hai jaise 2 horse power par 60 percent tak ki subsidy milegi jisme 1 lakh ki value wala pump kissano ko 50 hazaar tak me offer kia gaya hai . 3 horse power solar pump ki kimat 1 lakh 90 hazaar tai ki gayi hai jisme ki kissano ko sirf 77 hazaar pay krne honge aur 5 , 7.5 aur 10 horse power ki Solar pump PM Kusum Yojana pricing ap is article me check kr skte hai .

Kusum Yojana ke ander abhi ke liye Uttar Pradesh ke kissano se applications mangi gai hai jisme un kissano ko iska labh diya jaega jinke land par boring facility hogi. Boring aur sichai ko lekar bhi is scheme me checking ki jaegi jisme ki kam se kam 6 se 8 inch ki boring ka kam check kiya jaega. Boring ka kharcha sarkar is yojana me nahi deti hai aur kissan ko khud se wo kharcha krna hota hai .

PM Kusum Yojana me kon avedan kr skta hai ?

PM Kusum Yojana ki shurwat UP se ki gayi hai jisme ki UP government ne kissano ko solar pump install krwane ke liye subsidy aur loan offer kia hai . Interested kissan is Yojana me online apply kr skte hai ya phir wo apne nazdigi customer service center (CSC) me jakar bhi is scheme ke liye adhik jankaari le skte hai . Is scheme me apply krne ke bad token generate kr skte hai aur token generate krne ke bad kissan ko challan ke madhyam se is Yojana me pump ke liye payment krni hai .

Jaise hi application accept ho jati hai to kissan ke land par sarkari karamchaiyo dwara Solar pump install kr diya jata hai . Is scheme me kissan extra grid bhi install krwa skte hai aur is scheme ke ander kissan electricity generate krke us energy ko dusre farmers ko bhi sell kr skte hai ya bhi apna Solar pump dusre farmers ke sath share krke bhi paise kama skte hai . Is scheme ko Central aur State Government dono finance kr rahi hai to isme benefits sabhi farmers ko diya jaega .

PM Kusum Yojana me avedan ke liye kya kya chahiye ?

PM Kusum Yojana me apply krne ke liye sbse jruri hai ki farmer ki land registered honi chahiye aur unke pas Agriculture income as main source of income hone chahiye . Sath hi is scheme me apply krne ke liye applicant (farmers) ko kuch khaas documents ki bhi jrurat pdti hai jisme :

  1. Applicant Farmer ka Aadhaar Card
  2. Agriculture Land ke Papers
  3. Applicant ki passport size photos.
  4. Land Photos
  5. Income Proof
  6. Bank Account Proof
  7. PAN Card

PM Kusum Yojana me avedan kaise karna hai ?

PM Kusum Yojana me koi bh farmer apply kr skta hai aur application process completely online hai . Jis bhi kissan ko is scheme me apply krne ke baare me samj nahi ata ya form kaise bharna hai to wo apne near me CSC Center par jakar form bharwa skte hai .

Is scheme me apply krne ke liye UP ke farmers online UP Agriculture Website par is scheme ke liye apply kr skte hai . Is scheme me applications first come first serve basis par hi accept kiye jaenge . Is scheme me UP ke kissano ke registration ke liye 200 percent applications accept krne tk ka laksh rakha gaya hai .

Agar Farmers ise online book karna chahte hai to wo online solar pump book karne ke liye is Solar Pump Website  par online book kr skte hai . Is website par apply krne ke bad online solar pump ke dikhaye gaye rashi ko online challan create krke kissan ko pay krna hai .

Must Read : Make Huge Income by Start Your Recruitment Agency Online with Indeed Jobs

PM Kusum Yojana ka helpline number kya hai ?

PM Kusum Yojana me apply krne ke liye kissan ki help ke liye Solar Pump Scheme PM Kissan Yojana ki official website par apply krna hai . Aur gar is scheme se judi koi bhi samasya hai to ap is helpline par puch skte hai 1800-180-3333 ya 783988208 . Agar ap is post me di gayi jankari ke baare me kuch puchna chahte hai to ap hame niche comment krke bta skte hai .

LEAVE A RESPONSE

Your email address will not be published. Required fields are marked *