Life me Shaadi ek jruri event hota hai jo har kisi ko krna chahiye aur apni life ke liye kuch joyable moments bnane chahiye . Lekin in moments ke bich kuch aisi situations ajati hai jisme apko apna phla life partner or apna phla partner ko chodna pdta hai jiski wajah se ap akele reh jate hai . Online matrimonial websites par apko bahut baar dekhne ko milta hoga ki log agar alag tarah partnership try krte hai jisme wo live in se lekar date jaisi activities krte hai sirf ye janne ke liye ki wo jis partner se shaadi krne waale hai wo compatible hai ya nahi .
[lwptoc]
Lekin kisi karan se unhe apne phle partner ko khona bhi pdta hai iske liye bahut problems jaise financial conditions ya medical problems jimmewar hoti hai .
Lekin har person ke pas ek second chance hota hai jis se wo apni life ko restart kar sake aur apne life ke new goals bana sake . Isme unki help krti hai Second Shaadi services jisme wo online ya offline ek naya partner dhund kar phir se apni life ko settle krte hai . Second Shaadi ka kya mtlb hota hai ,kya apko krni chahiye ya nahi aur Second Shaadi kaise hoti hai agar ap janna chahte hai to ap is article ko pura padhe .
Second Shaadi kya hoti hai ?
Second Shaadi ka basic mtlb hota hai ki ap apne liye ek second life partner ko dhundhe agar ap apne phle partner ko kho chuke hai . Second Shaadi krne ke kai main kaaran hote hai jaise agar apke partner ne apko divorce de diya hai , apke partner ki death ho chuki hai ya apke partner ne apko leave kr diya . Isme agar ap ek young age ke person hai to apko Second Shaadi ke liye plan krna chahiye jisme ap apne equivalent koi partner dhund kar us se Shaadi kr skte hai .
Second Shaadi ka basic meaning hai apne liye ek new life partner dhundna jo apke hisab se compatible ho aur jo apke according chal sake . Second Shaadi ke liye apko jyada effort nahi krne pdte bas apko online ya offline kuch source dhundne hote hai jaha ap apni profile list krke apne liye accha partner dhund sake .
Must Read : PM Jeevan Dhara Yojana Rajasthan me Kissano ke Liye Water Supply Benefits Kaise len
Second Shaadi Matrimony se Partner kaise dhundte hai ?
Second Shaadi ke liye partner ko dhundna mushkil hai ya asan ye depend krta hai us person ki accessibility or literacy or financial condition par . Agar ap ek padhe likhe insaan hai to ap khud se apni profile or biodata generate krke alag alag agencies me submit kr skte hai jis se agar apko koi matching milti hai to wo apko recommend kr dete hai ek Second life partner ke liye ya phir ap online matrimonial websites ka istamal bhi kr skte hai jisme sabhi dating or chatting applications bhi shamil hai jo apko Second marriage me help krti hai .
Lekin agar ap uneducated , yani kam padhe likhe hai to apke liye sbse behtar option hote hai kisi bhi Vidhawan or Pandit ke pas apni Kundli or biodata dena . Kundli banwane ke liye ap un Vidhwan ki hi madad le skte hai aur dusra ki ap kisi bhi local marriage bureau ke pas jakar apna registration krwa skte hai . Registration ke liye apko kuch fees deni hoti hai par wo apko kuch acche rishte bta dete hai.
Second Shaadi ke liye tarike :
- Matrimonial Websites ka sahara len .
- Marriage Bureau par apni information jrur submit kare .
- Online dating or chatting application ko use kr skte hai.
- Facebook or Telegram jaisi communities ap join kr skte hai .
- Instagram par Profile create kr skte hai .
- Pamplets or Local Astrologers ki help le skte hai .
To ap in tariko se apne liye ek acche Second Shaadi ka Rishta dekh skte hai .
Must Read : PM Wani Yojana me Free Wifi Government Scheme ke liye Kaise Apply Kare
Second Shaadi Matrimony se kya fayda hota hai ?
Second Shaadi life me bahut jruri hai kyoki isme agar ap kisi aged partner ke sath life partnership krte hai to ap apni life ko aur bhi acche se improve kr paate hai . Aur dekha gaya hai ki jo b log apne phle partner ko kho dete hai to wo depress ho jate hai aur life me apne goals set nahi kr paate . Agar ap Second Shaadi ke liye upar btaye tariko ko istamal krte hai to apko ye fayde hote hai :
- Jyadatar tariko me apko paise nahi dene hote aur ap facebook jaise social platform se free me rishte dekh skte hai .
- Second Shaadi me kisi bhi bureau ke through partner dekhne se apko partner ke background ke baare me acche se pata chal jata hai .
- Offline Second shaadi options me apke sath default ya fraud hone ke kam chances hote hai .
- Ap apni life ko settle kr pate hai jisme ap apne future plans bhi bana skte hai .
- Second Shaadi rishte apko depression se ek positive light me le jati hai aur apko life me ek direction mil jati hai.
To ap Second Shaadi rishte se apne life ki darkness ko dur kr skte hai aur iske lie apko jyada effort bhi nahi krna pdta kyoki aged me apko bahut saare rishte to online hi mil jaate hai .
Must Read : Doodh ka Business Kaise Kare Milk Business or Milk Franchise Unit kya shuru kare
Second Shaadi Registation kyo jruri hai ?
Agar ap Second Shaadi ke baare me soch rahe hai to ye jruri hai ki ap ye bhi jan le ki shaadi ko registration krwana jitna jruri hai utna hi jruri hai legally apni Second Shaadi ko register krwana . Agar ap apni Shaadi ko register krwate hai tabhi apki marriage legal mani jati hai aur apko ek right milta hai un sabhi policies or legal procedures ko use krne ka jo ek shaadi wale couple ki hoti hai .
Agar ap apni Second Shaadi registration ke liye apply krna chahte hai to ap inki help le skte hai :
- Legal Consultant
- Shaadi Consultant
- Shaadi Bureau
Ye apki Second Shaadi registration krne me apki help krte hai aur apko ek legal right dilwate hai jis se ap badme jakar agar kisi karan se shaadi ko leave krna chahe to ap legally use leave kr skte hai . Specially ladies ke liye ye registration bahut jruri hota hai jis se wo legally ek remedy le skti hai aur Second Shaadi me hue fraud se bach skti hai .
Agar ap Second Shaadi se related or bhi jankari lena chahte hai ya is post se judi hmse koi jankari lena chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .
Me Kumra ho me Saadi karna chahta ho
Han mere ko shaadi karna hai
मै दुसरा सादि करना चाहता हू लेकिन नहि मिल रहाहै