PM Jeevan Dhara Yojana Rajasthan me Kissano ke Liye Water Supply Benefits Kaise len
Jeevan Dhara Yojana 2022 | Jeevan Dhara Yojana Benefits | Jeevan Dhara Rajasthan | Rajasthan Jeevan Dhara | Jeevan Yojana Rajasthan | JeevanDhara Yojana Rajasthan Apply . 1980 se 2000 me garib kissano ke liye aur minorities ke liye jo chote level par kheti karte the unke liye ek scheme chalayi gayi jiska nam rakhan gaya Million Well Yojana , is scheme me sabhi applicants ko benefit diya jata tha ki unhe apne khet ya agriculture land ke liye kuch grant diya jata tha jis se wo apne khet ke near me ek well (kuan ) banwa ske aur apne agri land ki sichai kr ske.
[lwptoc]
Is scheme me dekha gaya, ki is scheme ne bahut se logo ke liye employment bhi generate ki aur kissano ko is se fayda hua ki unhe dur dur tak apne khet ke liye pani lene nahi jana pdta tha . Jeevan Dhara Yojana Rajasthan me is hi yojana se prerit krke bnayi gayi hai . Is scheme me Well (Kuen ) banane ke liye grant se lekar , garibo ko employment ki oppurtunity dene tak ye scheme bahut saare benefits deti hai .
Agar ap is scheme me apply krna chahte hai aur janna chahte hai ki PM Jeevan Dhara Yojana kya hai aur iske labh ap kaise le skte hai sab apko is article me btaya gaya hai .
Jeevan Dhara Yojana Kya hai ?
Jeevan Dhara Yojana ek Water Supply scheme hai jisme applicant jaise kissan ya chote krishi udyog se jude logo ko water supply ka benefit diya ja raha hai . Is scheme me applicant apne agriculture land ke as pas koi kuan banwane ke liye sarkar se grant le skta hai aur chahe to sarkar ke funds par approve kr wakar apne agriculture land par kuan (Well) ban wa skta hai .
Jeevan Dhara Yojana ko Rajasthan me implement kia gya hai jisme agar kisi area me kuen nahi bnaye ja skte to applicant (Kissan) ko koi grant diya ja sake . Is grant se kissan apne agri land par Water supply ke liye River supply banwa sake ya sichai ke liye water storage ka system bana ske. Is scheme ke benefits dene ki jimedari gram panchayato ke through diya ja raha hai .
Is scheme me kissano ko 3 tarike se benefit diya jaega :
- Unke agriculture land ke pas Kuan banwakar jisme application ke bad Gram Panchayat ya Sarkari Agri Department se application approve ki jaegi .
- Kissano ko Water Storage Facility banwane ke liye Anudan dena .
- Kissano ko Water facility develop krne ke liye Additional land lene me madad krna .
Rajasthan Jeevan Dhara yojana ke liye kon apply kr skta hai ?
PM Jeevan Dhara Yojana sabhi gramin shetra ke kissano ke liye prakashit ki gayi hai . Ye scheme me abhi Rajasthan ke kuch chuninda shetro ke liye shuru ki gayi hai . Is scheme ke pure funds ko Government of Rajasthan sponsor kr rahi hai .
Is scheme ke main beneficiary hai wo kissan jo garibi rekha se niche hai aur kissan jo minorities group me labour ya land owner ki category me aate hai jo ki SC/ ST category se belong krte hai . Is scheme me shuruwati beneficiaries ke liye 4500 applications mangi gayi hai jisme 4500 applications accept hone ke bad is scheme ko extend ya close kr diya jaega . To is scheme me benefits first come first apply basis par kia jaega .
Rajashtan Jeevan Dhara Yojana ke liye kya kya documents chahiye ?
Is scheme me anudan ki ghoshna ke bad sarkar dwara puri guideliness issue ki gayi ki is scheme ke ander garibi rekha se kam aane wale kissan aur minorities jaise reserved SC aur ST category ke log hi is scheme ke benefits le skte hai . Is scheme me application ko lekar kuch documents aur ek application form jama krna hota hai jo ki Gramin Panchayat ya village ke water supply department / agriculture department se apko mil jaega.
Is scheme me apply krne ke liye document ki list aur application ka pura tarika Rajasthan Jeevan Dhara Yojana Document me diya gaya hai . Jise ap is link se download kr skte hai . Rajasthan Jeevan Dhara Yojana Download PDF.
Is scheme me online apply krne ke liye Rajashtan Government ki Jeevan Dhara Yojana Website par bhi apply kr skte hai . Is mission ka lakshya rakha gaya hai ki sabhi villagers ko apne land area ke liye sufficient water supply mile , ground water level ka jyda se jyada istamal ho aur jyada se jyada irrigated land ki extension ho .
Jeevan Dhara Applicant Support
Agar ap Rajasthan ke resident hai aur is scheme me apki eligibility match krti hai to ap is scheme ke liye apne nazdigi scheme allotted department me jakar isme apply kr skte hai . Is scheme ke baare me jyada jankari ke liye Government of Rajasthan ke in contact points par ap connect kr skte hai .
Address – IT Building, Yojana Bhawan Premises, Tilak Marg, C-Scheme, Jaipur, Rajasthan India – 302005,
Helpline Number : 0141-2921351
Email: umeshcj.doit@rajasthan.gov.in
Must Read : Why list Website on Google Search Console ?
Ap in contact points par sampark krke apne nazdigi Jeevan Dhara Scheme center par jakar scheme ke liye apply kr skte hai . Is se judi sabhi jankari apko helpline par mil jaegi . Agar ap is scheme se jude aur koi jankari lena chahte hai ya hamse koi feedback share krna chahte hai to ap hame niche comment section me bta skte hai .