Sabke liye ek hi sawaal hai ki kaise aap online apne liye railway tickets book kr skte hai . India me summer season sbse best season hota hai travel krne ke liye , agar ap koi online holiday package dekhte hai to sbse phle Shimla ya manali ka tour package dekhte hai par uske ke liye apko tickets book krna , Online hotel book krna ya Online travel ke transport book krne ke baare me nahi pata hota .
Agar aap sirf ek train ticket ki baat kare to apko Railway me se online ticket kaise book krte hai wo tak samaj nahi ata . Kuch yatrion ke liye ye bahut hi mushkil ho jata hai Railway station par jakar lambi line lag ke train ki booking karna .
[lwptoc]
Par sabki pareshani dur krne ke liye IRCTC ne online ticket booking , hotel booking aur complete travel package booking ka kam shuru kia hai . Agar aap IRCTC se online ticket booking krke travel ka maza lena chahte hai to is article ko acche se padhiyega . Is article ko pdne ke bad online ticket booking krne me apko shayta milegi aur apko lambi lino me lgne se bhi chutkaara mil jaega .
IRCTC Train Booking
IRCTC bhot hi purana ticket booking system hai , isme ap kuch premium trains , ya passenger trains dono ke liye ticket book kr skte hai . IRCTC Indian railway ka complete management dekhti hai aur apko sabhi tarah ke tour and packages bhi deti hai .
IRCTC fun packages jaise Shimla Tour , Vaishno Devi Tour , Goa Tour etc aur bhi kai apko ocassion ke according aap package isme book kr skte hai . Agar aap normal travel ke liye ticket book krte hai to IRCTC se aap online mobile application ya organisation ki website se bhi aap ticket book kr skte hai . Online ticket book krne par apko kuch special discounts bhi milte hai aur agar aap prompt payment solutions jaise BHIM UPI , Paytm UPI ya koi aur digital payment method use krte hai to apko sabhi tickets booking par kuch additional cashback bhi mil jaate hai .
IRCTC Online Ticket Booking Kaise Kare
IRCTC ke har tour package ya kisi bhi train ki booking krne ke liye aap IRCTC ki official website IRCTC.co.in par jakar apni requirement ke according tickets book kr skte hai . Is facility me apko bahut saare options mil jate hai ki aap kis train schedule par jana chahte hai , kis coach me seats vacant hai aur aap food aur other facilities bhi kaise avail kr skte hai .
IRCTC ki website par ticket book krne ke liye is procedure ko follow kare :
- Sabse phle website par ek USER ID generate kare jiske liye apko apne mobile number aur apna Aadhaar details dalni hogi . User ID generate hone ke bad apko website par User ID dal kar password create kr lena hai .
- Website par ID aur password create ho jane ke baad aap usme LOGIN kr skte hai . Login krne ke liye ap is link ka istamal kr skte hai . https://www.irctc.co.in/
- Jaise hi aap website me enter kr lete hai to ap ‘ Plan My Journey ‘ pr click krke check kr skte hai ki aap kis route ki train book krna chahte hai aur konsi train kab aegi .
- Apko Plan My Journey me From Station / To Station / Journey Date / Ticket Type ye sabhi details online fill krni hogi .
- Ye sab select krne ke bad apko un sab trains ka route dekhne ko milega jo apke btaye hue time par us route se jaengi . Jo apko apni facility ke according train ki details check kr leni hai .
- Ap Trains ki list me se passenger ya AC Trains me se aap choose kr skte hai .
- Apko Jis din ke liye Ticket ki Booking krni hai , us din ka schedule dal kr apko BOOK NOW par click kr dena hai .
- Jaise ho aap Book Now par click karenge to apko number of tickets , number of passengers , details of passengers , age , meal required or not or sabhi facilities jo apko chahiye unki details form me dal deni hai . Sabhi details dalne ke bad apko ‘Next’ par click krna hai aur uske bad Phone Number dalna hai .
- Mobile par OTP aane ke bad apko Payment method select krna hai .
- Online payment krke apko TICKET Booking Reference Number apke mobile number par ajaegi.
Online IRCTC Tatkal Ticket Booking Sewa
Agar aap emergency me kisi agah par jana chahte hai to apko Online IRCTC me Tatkal Ticket Booking service bhi mil jati hai jiska mtlb hai ki ap fast online train ticket booking kr skte hai . Is ke lite bhi online IRCTC ki website ya Railway department ki official website par instant ticket book kr skte hai .
Online Tatkal Ticket booking service ko instant use kia ja skta hai jisme apko kuch cases me seats reserve krne ka mauka nhi milta hai par apko railway ki taraf se kuch seats allot kr di jati hai aur asani se un seats ki booking krke ja skte hai . Online Tatkal Ticket Booking krne ke liye is tarike se form bhare :
IRCTC ki website par jakar login krne ke bad Book Tickets par click kare , uske bad Tatkal Ticket Booking par click kare apko sab details usme passengers , route planned aur destination aur trains sab details dal deni hai . Payment krte hi apki ticket book ho jati hai aur apko apke mobile par Tickets ka SMS bhi ajata hai .
IRCTC Online Train Book Status Checking
Kabhi kabhi ye problem ho jati hai ki aapki ticket book hui ya nahi ya apki payment me kuch problem ho jati hai jiski wajah se apki train tickets book nahi ho pati . Uske liye apko online check krna hota hai ki apki tickets book hui hai ya nahi .
Online IRCTC Train Ticket Booking Check krne ke 2 tarike hai :
- Website par PNR Status Link par click krke ap apni ticket number dal ke check kr skte hai apna train status aur apki ticket confirmation .
- IRCTC Mobile Application ko playstore se download krke ap usme apna Ticket pe diya hua PNR Number ya phir aap apne mobile number se login krke bhi check kr skte hai ki apki tickets confirm hui hai ya nahi .
IRCTC Customer Support Number
IRCTC me bahut cases aise hote hai ki apki ticket confirmation fail ho jati hai jiske bad apko travel krne me bahut problem ho skti hai aur agar apki ticket confirm nahi ho pati aur apko pakad liya jata hai to apko Train ke hefty fines pay krne pdte hai . To apne ticket confirmation ya cancellation ka status janne ke liye ap IRCTC ke customer support se bhi baat kr skte hai .
IRCTC Customer Helpline Number : 0755 661 0661