Facebook Gaming hi India me ek aisa sahara jisne India me lockdown lgne ke baad kitne logo ko paise kamane ka moka diya . Facebook Gaming ek aisa platform hai jis par aap apne mobile me game khel ke logo ko entertain krte ho aur log apke game khelne ke style ko dekhte hai aur use pasand krte hai .
Facebook Gaming , facebook ka ek feature hai jis par aap ek Gaming page banakar PUBG, BGMI ,aur Ludo King jaise games dal kar us page se earning krte hai. Iska ek eligibility criteria hota hai aur apko ads revenue ke sath sath aur bhi kai tarike se earning facebook pages se ho jati hai .
[lwptoc]
Is article me btaya gaya hai ki kaise ap ek facebook page par kam krke acche paise kama skte hai aur kyo India me bahut se gamers fail ho jate hai . Iska karan bhi apko acche se btaya jaega . Sath hi is article me koshish ki gai hai apko kuch acchi earning tips dene ki jis se aap apne Facebook Page ki Earning ko Boost kr skte hai .
Facebook Page se Paise Kaise Earn Krte hai ?
Facebook ek social media platform hai , is par ap na sirf apni community se jud skte hai , balki apna business expand krne ke liye advertisment aur promotion bhi kr skte hai , jobs listing dekh kr job ke liye apply kr skte hai , free videos aur movies bhi is par dekh skte hai .
Facebook par aap apna ek page create krke ap videos publish kr skte hai . Facebook par agar aap kisi bhi videos ko dekhe to ap short videos aur long videos dono pe acchi viewership dekhenge aur usme apko nahi dikhta ki kaise creator un videos pe se acche paise kr lete hai . To jaise aap page create krte hai us par aap apne according videos upload krna shuru kr skte hai .
Facebook pr page create krne ke bad apko bahut se options mil jaate hai paise kamane ke :
Facebook Instant Article
Facebook Brand Collab Manager
Facebook Instream Ads
Facebook Live Ads
Facebook Star Monetisation
Ye 5 tarike hai jinse se aap bina kuch invest kie paise earn krna shuru kr skte hai. Lekin facebook par bahut se aur bhi tarike hote hai jis se aap paise kama pate hai par wo page se related nahi apki apni skill par depend krta hai jaise freelancer jobs krke , group post sale krke , listing sale krke , affiliate or influencer marketing krke aur bhi hazaaro tarike hai Facebook se earning krne ke .
Facebook Page par Gaming Page ya Gaming Video Creator Kaise bnte hai ?
Agar apko Gaming pasand hai to aap facebook par game videos create krke , post krke , live krke bhi paise kama skte hai . Ye possible hota hai Facebook Gaming feature se jisme aap facebook par games videos aur games page create krte hai .
Facebook Gaming Page banane ke bad apko usme regular yad rakhna regular videos upload krna hai . Isme ap Facebook Gaming Live krke PUBG ya battleground jaise games khel ke ap ko ek criteria facebook ka pura krna hai . Ye criteria hai ki apke pas kam se kam 500 se 1000 followers hone chahiye aur apko daily 4 hr game khelni hai .
Jaise hi apka Watch time Facebook par 60k minutes ka ho jata hai to aap Facebook Livestream Monetisation ke liye apply kr skte hai . Apko jyada wait approval ke liye nhi krna pdta aur instant apko monetisation mil jata hai , baat ati hai isme apko copyright problem bhi ati hai . To ap gaming krte wqt usme apni audio dena .
Also read : IRCTC se Online Ticket Booking Kaise Kare – Online Railway Ticket Booking with IRCTC 2022
Facebook Page par Gaming Page par paise kab milte hai ?
Facebook Page create krna bahut asan hai aur aap Facebook par kisi bhi category ki videos create krke kam kr skte hai . Lekin Facebook Gaming ek aisa section hai jisme aap daily game khelte hai to apka criteria aur followers bahut jaldi badte hai .
Sath hi Gaming aisi field hai jisme har gamer ke followers automatically ban hi jaate hai kyoki Worldwide har kisi ka gameplay dekha jata hai aur log games ko pasand krte hai . Aur Facebook par bhi quality videos ko hi pasand kia jata hai . Facebook par Gaming krne ke liye apko ek high speed internet connection aur ek accha Gaming PC chahiye .
Facebook par ap instant money earn krna shuru kr dete hai jab apko Facebook Live Stream Monetisation par approval mil jata hai . Facebook par daily income ki baat kare to apko daily videos post krni hongi aur apko apne viewers ko engage krna hoga ki wo apko Stars ki payment kare jis se apki payment aur bhi jyada ho jaegi .
Facebook Gaming page ka average duration dekhe to kisi bhi gamer ko kam se kam 3 mahine lgte hai ek Gaming channel ko boost krne ke liye kyoki facebook ke according apki videos tab hi boost ki jati hai jab logo ke us par reaction aate hai aur apko payment bhi month ke bad agle mahine 18 ke bad apke bank account me de di jati hai .
Also read : Is it possible to Buy Apple IPhone in USA from UK ? – Buying Apple Products from other Country
Facebook Gaming Monetize hone ke bad kya kare ?
Facebook Gaming Page ka basic monetisation feature hai Facebook Live Ads , jaise hi apka criteria pura hota hai apko sabse phle ye check krna hai ki apko ads placement kaha par krni hai . Ads placement aur ads analytics dashboard ko apko acche se samaj lena hai .
Uske bad apko Facebook Business Manager ya Creator Studio me jakar apni Payment Profile Update kr deni hai . Isme agar ap Payment apne bank account me lena chahte hai to ap usme apna bank account add kr skte hai ya phir ap usme Paypal ka account bhi dal kr payment receive kr skte hai .
Facebook Gaming Page Earning Boost kaise kare ?
Facebook Gaming page hi ek aisi category hai jise facebook organic boost deta hai kyoki isme apko har age aur har location ke viewers aur creators milte hai . Aur Facebook ko audience expansion ke liye in videos ko automatic boost dena pdta hai .
Apke Facebook Gaming Page par agar apki earning slow ho rahi hai to ap isko paid facebook ads ya paid campaigns se ya organically bhi ise boost kr skte hai . Agar organic earning ki baat kare to apko isme kuch aise thumbnails aur titles par kam krna hoga jisme apko Click through Rate accha mile aur agar apko Facebook ads se earning boost krni hai to apko paid campaigns lagakar ap apni videos ki promotion kr skte hai .
Facebook promotion krne se apko followers aur apki videos ko aur bhi jyada log pasand krte hai .
Also read : Python VS Java : Computer Coding Language to Learn in 2022
Conclusion
Facebook Gaming Page par Income start krna bahut easy hai . Online apko Facebook earning ke unlimited courses aur tutorial bhi mil jaenge . Agar apko apna Facebook page develop ya grow krne me problem arahi hai to aap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .