Aewwe.in

All about News and World Trends

doodh ka business kaise kare , doodh ka business registration , doodh ka business entity , milk fssai registration , milk business fssai , food license milk buisiness, aewwe.in
Finance Sarkari Yojana

Doodh ka Business Kaise Kare Milk Business or Milk Franchise Unit kya shuru kare

Kisi bhi business ko shuru krne ke liye sbse jruri ye pata lagana ki us business me abhi kitne competitor hai , business ki profitability yani fayda kitna hoga aur lagat kitni hogi . Purane samay se chala araha ek mashoor aur hamesha demand me rehne wala business hai doodh business ya dairy business . Agar baat kare to koi aisa ghar nahi hoga jaha milk ka istamal nahi hota , milk ek essential item hai jo har ghar ki jarurat hai . India me kuch companies hai jo doodh ka business acche level se kr rhi hai aur jyadatar is business ko nichle areas yani villages ya districts se operate kia jata hai .

[lwptoc]

Agar doodh business ko shuru krne ki baat kare to ise kam investment me bhi kia ja skta hai jaise is business ko ghar se cows ya buffaloes ko rakh kar doodh localities me or villages me supply ki ja skta hai . Milk business me ap kisi company ki C and F lekar ya franchise lekar bhi ap packed doodh bech kar paise kama skte hai .

Agar ap doodh ka kam karna chahte hai aur apko ye nahi pata ki doodh business me kitni investment chahiye , koi license ya registration chaiye aur kitni investment me kitna profit hoga sab apko is article me btaya jaega .

Milk business kya hota hai ?

Milk business me ap doodh ko raw bech kar paise kama skte hai , kisi agency ya franchise ko doodh supply kr skte hai , ap kisi sweet shop ya kisi bakery ya food shop , marriage halls , cater shops aur bhi bahut saari jagah par doodh supply krke paise kama skte hai . Iske liye investment aur profit ka pura plan kia jata hai aur agar ap milk business me kamana chahte hai to ap do module par kam kr skte hai ek jisme apko buffaloes par investment karni hai jisme apko jyada milk mil sake .

Ya phir ap kisi Milk Business franchise jaise Mother dairy , Amul ya aur bhi brands ke sath ya local brands ke sath kam krke Milk supply ka business kr skte hai . Isme apko company ke packed foods aur milk se jude products ya packed milk mil jata hai supply ke liye.

Milk business me daily households me milk supply krke bhi paise kama skte hai . Isme fresh milk supply krne ke acche paise mil jaate hai aur agar milk acchi quality ka ho to company ke price se bhi jyada price milk ke liye quote kia ja skta hai .

Milk business kaise shuru kr skte hai ?

Milk Business shuru krne ke liye apke pas kitna investment hona chahiye – To apko dhyan rakhna hai starting ke liye apke pas kam se kam Rs 2 lakh hone jaruri hai aur isme maximum ki koi limit nahi hai . Milk business ko shuru krne ke liye apke pas kam se kam 1 se 2 hectare me land honi chahiye ya ap kisi village area me rent par bhi land le skte hai . Isme apko wo land suitable rahegi jiske as pas agriculture land ho .

Milk Business me kuch basic tools aur investments chahiye :

  1. Rented ya Owned land
  2. Milking Tools ya Animal Medicines
  3. Buckets for Milk Holding
  4. Buffallo Chains
  5. Milking Labour

Insbke alawa business ke size ke according bhi investment ki ja skti hai . Jaise agar ap milk dairy area me ap Cheese , Butter , Fat , Curd (Dahi) separate krke bhi in products ko bhi dairy shops pe sell krke paise kama skte hai .Milk se in sb cheezo ko extract krne ke liye bhi apko kafi machines ki jrurat pdti hai aur ye machines costly hoti hai jisme apko aur bhi investment chahiye hoti hai km se km 2 se lekar 10 lakh tak depending ki ap kis scale par kam krna chahte hai .

Doodh business me kitni lagat aati hai ?

Doodh ke business ko ap kam se kam investment me shuru kr skte hai , isme basic requirements ki baat kare to phle ye business ek tax free business tha lekin GST aur Income tax me changes hone ke bad is business ko bhi tax brackets me laya gya lekin ek alag tarike se . Agar ek chote level par is business me investment dekhe to ap kam se kam  lakh me bhi is business ko kr skte hai .

Investment ki baat kare to minimum 1 lakh me ap cows aur buffaloes ka combination rakh ke kr skte hai aur sath me ap choti dahi machines , paneer machines laake bhi apne business ko expand kr skte hai . Business me investment product ki demand aur area ke hisab se bhi ki ja skti hai , agar ap ki shop ya apka dairy farm ek society se linked hai to apki regular sales ke jyada chances hai aur apko return on investment bhi accha mil jata hai .

Doodh ke business me license aur registration ki baat kare to apko ek food license lena hota hai jisme apko consultation aur registration cost kam se kam 1 se 2 hazaar ati hai aur agar ap koi machine ya chemicals lete hai to un chemicals / medicines ko rakhne ke liye bhi registration ya declaration chahiye hota hai .

Doodh Business ki franchise kya hota hai ?

Kabhi kabhi ap kam business me dairy business ko bhi shuru kr skte hai jisme ap ek opportunity dekhte hai ki ap apne area me branded milk products ya packed milk bech skte hai . India ki sbse badi milk franchise ki baat kare to Amul aur Amul ke products direct Rajasthan , Gujarat , Haryana aur alag alag areas se direct pure India me supply kie jaate hai . Amul company apne 100 se jyada products sell krne ke liye franchise issue krti hai aur distributors appoint krti hai jo sirf Amul brand ka milk aur products sell krte hai .

In business units ko franchise units kehte hai . India me national aur local level par bahut sari dairy products ki companies hai jo isme logo ko milk aur milk products supply krte hai . Isme daily basis par franchise units par company se product purchase krna hota hai aur apne distribution channel se sabhi jagah supply krna hota hai .

Doodh Business me franchise lene ke liye India me in companies me ap apply kr skte hai :

  1. Amul Milk Franchise
  2. Mother Dairy Franchise
  3. Lassi Shop Franchise
  4. Moo Cow Franchise
  5. Osam Dairy
  6. Sudha Dairy Franchise
  7. Vita Milk
  8. Heritage Fresh
  9. Nandini Dairy
  10. Hatsun Dairy

Doodh Business krne ke kya fayde hai ?

Doodh business ko krne ka sabse bada fayda hota hai ki ye ek daily business daily earning module hai aur is business me payments ko lekar kisi tarah ka issue nahi ata . Cashflow ke sath sath ye ek highly demanding business hai jisme price capping ki koi problem nahi hai , producer apne product ka kuch bhi price rakh kr sell kr skte hai .

Is business me Food license aur business registration ke alawa koi jyda legal formalities nahi hai . Taxation ki baat kare to Milk business ek GST free business hai aur is se hone wali income par bhi koi Income tax nahi lgta . Lekin agar Milk ya milk se produced kisi product ko pack kar ke sell kia jaaye to is business me taxation rules apply hote hai aur business owner ko GST registration aur GST Compliance krne pdte hai .

Must Read : Make Corrections on the Go and Do no more Re-uploading on YouTube

To Doodh ka business ek highly profitable aur easy to start business hai , agar ap is business ko krna chahte hai aur apko registration se lekar is business ko krne me kuch problem ati hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .

LEAVE A RESPONSE

Your email address will not be published. Required fields are marked *