BSNL New Recruitment Notification 2022 : BSNL ( Bharat Sanchar Nigam Limited ) ne abhi hal hi me apni new recruitment list jaari ki hai jisme 12th pass se lekar graduate ya post graduate bhi job ke liye apply kr skte hai . Online ye acchi job pane ki acchi oppurtunity hai kyoki BSNL ek government based telecom company hai jo internet aur calling jaisi services deti hai . Dekha jae to JIO , Airtel aur VI jaise companies ki monopoly ke bad BSNL ki services me demand dekhne ko mili hai .
[lwptoc]
[web_stories title=”false” excerpt=”false” author=”false” date=”false” archive_link=”true” archive_link_label=”” circle_size=”150″ sharp_corners=”false” image_alignment=”left” number_of_columns=”1″ number_of_stories=”5″ order=”DESC” orderby=”post_title” view=”circles” /]
BSNL ne Haryana me apni Recruitment notification release ki hai jisme wo youngsters ko BSNL company me job krne ke liye invite kr rahe hai . Isme alag alag post ke liye applicant online apply kr skte hai aur job application complete online rahegi jisme kuch post ke exam aur kuch posts ke liye direct interview ke liye btaya gaya hai . Apply krne ke applicants online BSNL Haryana ke official portal se BSNL Job recruitment ko check kr skte hai aur ise online apply kr skte .
Notification ke according BSNL job ke liye apni eligibility check krne ke liye is article ko pura padhe . Isme apko btaya jaega ki ap kis post ke liye apply kr skte hai aur selection ka pura process kaisa rahega .
BSNL New Recruitment Kaise check kare ?
BSNL Limited ne Haryana me Sarkari naukriyan offer ki hai jisme Graduate or Diploma holders apply kr skte hai . Latest notification ke according jo bhi company apprenticship ke liye apply krna chahte hai wo posts check krke online hi iske liye apply kr skte hai . Btaya gaya hai ki latest BSNL job notification me kisi bhi job ko apply krne ki last date 9 july btayi hai jiske bad koi applications accept nahi ki jaegi.
Online BSNL jobs ko check karne ke liye Company ki official website www.haryana.bsnl.co.in/ ko bhi check kia ja skta hai . Agar ap latest job notification ki details check krna chahte hai to ap is BSNL recruitment notification se bhi PDF check kr skte hai . Is notification ke according 44 applicants ki demand hai .
BSNL Apprentice Jobs ke liye apply kaise kare ?
BSNL jobs ke liye fixed recruitment ki jagah company ne apprenticeship par applicants ki demand ki hai jisme 44 posts ko fill krne ke liye applications mangi hai . BSNL ne ye notification according to bme nikali hai jiska mtlb hai ki ap BSNL me training ke liye selection ke apply kar rahe hai . Apki training complete hone ke bad apko BSNL me as an official employee rakh liya jaega .
Is Apprenticeship job application me applicant ko online apprentice ship ke liye apply krna hoga aur sabhi criteria ko pura krna hoga . Acchi baat ye hai kis isme ap online apply kr skte hai aur apply krne ke apko koi bhi charges pay nahi karne hai . Agar ap apne nazdigi BSNL center me jakar is notification me baare me janna chahte hai to ap waha jakar bhi iske baare me puch skte hai aur apni application waha bhi file kr skte hai .
Also read : Top Web Based Applications Online like Ullu to Watch Web Series in India for Free
BSNL Apprentice new job recruitment ke liye eligibility kya hai ?
BSNL job notification ke according , ye 1 saal ka apprenticeship invite hai jisme applicants ko sirf training purpose ke liye hire kia jaega . Selected personnel ko hi company me on board kia jaega . On board hone ke bad wo company ke registered employees ban jaenge . Is apprenticeship training me selection criteria kuch is tarike se btaya gaya hai :
- Applicant ki age 25 saal se jyada nahi honi chahiye .
- Age relaxation according to Minorities di jaegi jisme 3 se 5 saal ki age relaxation milegi .
- Applicants jinhone ne phle apply kia tha ya abhi BSNL se directly or indirectly linked hai wo apply nahi kar paenge.
- Applicant ko Graduate kisi bhi field me hona aur Diploma holder kisi bhi stream me hona jruri hai .
- Total Post ko area wise divide kiya gaya hai jisme area allocation yaha se check kr skte hai.
BSNL Apprentice job recruitment me salary kitni milegi ?
BSNL Apprentice Training before Job Notification me apply krne ke liye applicant ke pas kuch basic documents hona jruri hai jaise Aadhaar Card , PAN Card , Passport , Bank Account Details , Mobile Number and Email ID . Application ki last date 19 July notify kr di gayi hai jisme 20 June se application lena shuru ho gaya hai aur applications ka result 30 July tak bta diya jaega .
Kyoki ye ek apprenticeship program hai to isme as per eligibility or qualification ke according hi applicant ka selection hoga aur use time notify aur joining letter sab diya jaega . Isme starting training purpose ke liye Rs 8000 per month stipend offer kia gaya hai jisme applicant apni training puri kr skte hai .
Training puri hone ke bad or office me onboard hone ke bad applicant ko salary anywhere between 30 se 60 hazaar offer ki ja skti hai .
Also read : Top Web Based Applications Online like Ullu to Watch Web Series in India for Free
BSNL apprenticeship program ke liye online apply kaise kare ?
Is apprenticeship program me har applicant ko kam se kam interview clear karna hoga aur usko apne sabhi documents lekar office me ek particular date par report krna hai . Interview clear hone ke bad applicant ko apprenticeship joining letter offer kr diya jaega jisme training ki puri details mention hogi . Online BSNL Apprenticeship 2022 join krne ke liye aise apply kare :
- Go to www. mhrdnats.gov.in
- Enroll par click kare .
- Complete registration with all details .
- Click on Submit .
- Login details aane ke bad Website par login kare .
- Apne nearby Establishment select kare
- Upload Resume par click kare
- Sabhi details fill kare
- Click Submit.
Agar apko online apply krne me koi bhi problem ati hai to ap BSNL ki official hiring and apprenticeship team se contact kr skte hai adestt.cohr@gmail.com aur agar ap is post se jude koi sawaal puchna chahte hai to aap hame niche comment section me comment krke bhi bta skte hai
Job chiye mujhe plss sir🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏