Free Internet aur Free Wifi Jaise Yojana kise pasand nahi hai aur Government ke digital agenda ko lekar bhi aisi schemes ko aur bhi uplift kia ja raha hai . India me bahut se states me Free Wifi ko lekar policies discuss hui jisme logo ko Bharat Net ki services me Free Wifi aur Internet services offer krne ke baare btaya gaya hai . In policies ko lekar jaha Government pure desh me policy banane ke baare me soch rahi hai wahi par for trial and implementation basis PM Wani Yojana ko shuru kia gaya hai .
[lwptoc]
PM Wani Yojana ek Free Wifi Scheme hai jisme government free internet aur Wifi options available krwarahi hai . Is scheme ka main maksad hai ki sabhi villages , districts ko interconnect krna aur backward areas ko bhi digitalised krna .
PM Wani Yojana ko India me September 2020, me announce kia gaya tha . Is scheme me applicants ko free Wifi Support aur Bharat Net se connectivity support dene ki baat ki gayi thi . Is scheme me ap kaise apply kr skte hai aur is scheme me apko kya kya benefits milte hai sab apko is article me btaya gaya hai .
PM Wani Yojana kya hai ?
Aaj kal kisi bhi service ko use krne ke liye Internet ka istamal kia jata hai . Internet use krne ke liye private companies ko log monthly aur yearly rentals pay krte hai . Ye companies nahi sirf customer se rentals leti hai balki kuch companies to apne pas apne customer ka data bhi store kr leti hai jisme internet user ko data leak ya data misuse hone ki bhi problem rehti hai . Wahi agar villages ki baat kare to private companies , waha tak apna support nahi bana pati .
Bina Internet ke Village me rehne wale log Government Schemes , Cylinders , Loan Benefits , Digital Payments etc jaise options se dur reh jate hai . Is se employment par bhi bahut jyada effect pdta hai . Is scheme me sabhi savjanik jagaho jaise public parks ,public hospitals aur sabhi public spaces par connected wifi systems install kie jaenge jisme Wifi connectivity free me di jaegi.
Is scheme me sabhi business men , entreprenuers aur students ko apne business ko shuru krne me , extend krne me aur students ko padhai krne me help milegi . Is scheme ko Digital India Scheme me linked krke Internet connectivity aur sabhi digital schemes me benefit die jaenge .
PM Wani yojana me Free Wifi kaise apply hota hai ?
PM Wani Yojana ko abhi ke pilot project ke roop me rakha gaya hai jise sabhi policies ko pure bharat me internet services dene ke liye lagu kiya jana hai . Btaya ja raha hai is scheme me log apni shops ya apni land ko sarkar ko rent par dekar aur network towers ya Internet wifi systems ko install krwakar Sarkar se rental income bhi earn kr skenge aur is scheme me apply krne ki puri prakriya online ki jaegi .
Is scheme me free internet aur Wifi services lene ke liye abhi pure desh me intazar krna hoga , btaya gaya hai kis scheme ko phle Rajasthan se shuru kia jaega . Is avedan prakriya puri tarike se online rakhi jaegi jisme connection ke liye ya phir internet ke free istamal ke liye kisi bhi applicant ko online apply krna hai .
PM Wani Yojana me Internet supply ka structure janne ke liye ap PM Wani Yojana PDF yaha se dekh skte hai . Abhi Yojana me Wifi Providers ko connect krne ka kam chal raha hai jiska pura process ap PM Wani Portal par check kr skte hai
PM Wani Yojana me kon kon apply kr skta hai ?
PM Wani Yojana me Internet ki services PDA / PDOA agents aur agencies ke through diya jaega ,jisme kisi Internet user ko kahi par bhi register karne ki jrurat nahi padti . Is scheme me Internet service providers aur networking service providers Sarkar ko apni ek mobile application ya connectivity solution provide krte hai .
Us mobile application ko download krke register krna hoga . Application me jab b user public me hoga to wo is mobile application se check kr skega kis us operator ka Wifi Owner apne service charges lene ke bad kitna internet offer krega . Isme Villages ke life free internet offer service include kr di jaegi .
PM Wani Fee WIFI Scheme ke liye kisi bhi operator ka SIM hona jruri rahega jis se us Hotspot par instant registration kia ja sake . Iske liye ek recharge system use kia jaega jisme sirf service fee li jaegi jo ki bahut nominal hogi aur apko Internet ka access de diya jaega .
Must Read : PM Kusum Yojana me Na ke Brabar Price me Milega Solar Pump
PM Wani Free Wifi Scheme me apply krne ke liye kya documents chahiye ?
PM Wani Free Wifi Scheme government ka Digital India ka Intiative hai jisme apko as a Wifi User sirf apne mobile number se registration krna hai . Registration krne ke bad apko Government approved mobile application download krna hoga jis se ap Internet connect kr paenge .
Is Scheme me as a Wifi Distributor register krne ke liye apko Ministry ki official website par as a PDO / PDOA (Public Data Offices ) / (Public Data Office Aggregator ) . To abhi tak is scheme me register krne ke liye aur iske benefits lene ke liye koi specific documents nahi btaye gaye hai .
Is me households ko bhi ek opportunity milegi income karne ki jisme wo apne PDOA (Internet Service Provider ) se PDO (Public Data Office ) ban ke ap apne WIFI ko free hotspot banakar bhi isme earning kar sakenge. Iske liye complete guidelines bhi release kr di gayi hai jise ap Official PM Wani Scheme Portal par check kr skte hai .
Agar is post se judi ap koi feedback share krna chahte hai ya koi queries lena chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .